5:17 AM 0 comments

Sparsh


main phir se lautna chahta hoon apne bachpan me

jahan main tha or saath me andekha sansaar

wo sab kitana acha tha ..haan.. us andekhe sansaar ko

jeena chahta hun phir se

sparsh karna chahta hun us bachpan ko

jo kahin choot gaya hai peeche


yun haath hilaate hue jab bichadtaa hun apno se

us ek pal me ehsaas hota hai us sparsh ka

haan ...maa ka wo pyar bhara sparsh

or meri masoom si hansi

kho gayi hai is badappan me


ab main bada ho gaya hun

sabhi yahi kehte hain

is samjhdaari se wo bachpan acha

jab nischal aankhon se dekhte the har chij ko


wo maa ka sparsh

wo pyar....

ab doston me mila hai kahin

dikhi uski hi jhalak

ab main bachpan unke sath baant taa hun

wahan main bachpan me ho jaata hun


wo sparsh jab main kabhi roya

wo sparsh jab main kabhi hansaa

phir se ek baar samay se bhagnaa chahta hun

haan ...main laut jaan chahta hun

haan..main laut jaana chahta hun